Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2015
Mujhe Yaad hai abhi tak Jab barsti tap tap karti Rim jhim mein Haan December ki is Thatrti Sard raat ki pehli Barish mein Us ne mujh say kaha tha “Mujhe Barishein sard mosam ki bohat Pasand hain” Sard Mosam ki Barishon mein say unseet rakhne wala Mere Lehjey mein sard-pan utar gea hai Meri zaat mein Ajab tarz ki Ik Thandak utar gai hai Mein jisko Choo loon Woh Baraf ka Mehboos ho jata hai Usay sard mosam ki Barish say kea Nisbat thi Usay sard Mosmon ki Barish say kea Qurbat thi

Bewafai

jo tum ne Thhaan hi lii hai hamaare dil se nikloge to itnaa jaan lo pyaare vafa ki siiRhioN par har qadam phaila hua yeh aarzuuoN ka lahu zaaya' na jaayega! samundar saamne hoga, agar saahil se nikloge! sitaare, jin kii aaNkhoN ne hameN ik saath dekhaa hai, gavaahii dene aayeNge! puraane kaaghazoN ki balkoni se bahut se lafz jhaankeNge, tumheiN vaapas bulaayeNge! kaii vaade, fasaadii qarz_KhwahoN ki tarah raste meiN rokeNge tumheiN daaman se pakReNge tumhaari jaan khaayeNge! Chhupa kar kis tarah chehra bhari mehfil se nikloge?! zara phir soch lo jaanaN, nikal to jaayoge shaayad, magar mushkil se nikloge!! 

INkeshaaf

na vaadaa hai koii tum se, koii rishtaa nibhaane kaa na koii aur hii dil meiN taHaaiya yaa iraadaa hai! kaii din se magar dil meiN ajab uljhan sii rehtii hai! na tum is daastaaN ke sarsarii kirdaar ho koii na qissah itnaa saadaa hai! t'alluq jo maiN samjhaa thaa, kahiiN us se ziyadaa hai!!

KOii ZANjeer Ho

koii zaNjeer ho, aahan kii, chaandii kii, rivaayat kii, muhabbat toR saktii hai! yeh aisii Dhaal hai jis par zamaane kii kisii talwaar kaa lohaa nahiiN chaltaa! yeh aisaa shehar hai jis meiN kisii aamir, kisii sultaan kaa sikkaa nahiiN chalta! agar chashm-e-tamaashaa meiN zaraa sii bhii milaavaT ho yeh aaina nahiiN chaltaa! yeh aisii aag hai jis meiN badan sholoN meiN jalte haiN, to ruuheN muskuraatii haiN yeh voh sailaab hai jis ko diloN kii bastiiyaaN aavaaz de kar Khud bulaatii haiN yeh jab chaahe kisii bhii Khwaab ko taabiir mil jaaye jo manzar bhuj chuke haiN, un ko bhii tanviir mil jaaye dua, jo be_Thikaanaa thii, use taasiir mil jaaye kisii raste meiN rastaa puuChtii taqdiir mil jaaye muhabbat rok saktii hai samay ke tez dhaare ko! kisii jalte sharaare ko, fanaa ke istiyaare ko! muhabbat rok saktii hai kisii girte sitaare ko! yeh chaknaa chuur aaine ke reze joR saktii hai jidhar chaahe yeh baageN mausmoN kii moR saktii hai! koii zaNjiir ho, us ko