Skip to main content

Bewafai

jo tum ne Thhaan hi lii hai hamaare dil se nikloge to itnaa jaan lo pyaare vafa ki siiRhioN par har qadam phaila hua yeh aarzuuoN ka lahu zaaya' na jaayega! samundar saamne hoga, agar saahil se nikloge! sitaare, jin kii aaNkhoN ne hameN ik saath dekhaa hai, gavaahii dene aayeNge! puraane kaaghazoN ki balkoni se bahut se lafz jhaankeNge, tumheiN vaapas bulaayeNge! kaii vaade, fasaadii qarz_KhwahoN ki tarah raste meiN rokeNge tumheiN daaman se pakReNge tumhaari jaan khaayeNge! Chhupa kar kis tarah chehra bhari mehfil se nikloge?! zara phir soch lo jaanaN, nikal to jaayoge shaayad, magar mushkil se nikloge!! 

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.