Skip to main content

KOii ZANjeer Ho

koii zaNjeer ho, aahan kii, chaandii kii, rivaayat kii, muhabbat toR saktii hai! yeh aisii Dhaal hai jis par zamaane kii kisii talwaar kaa lohaa nahiiN chaltaa! yeh aisaa shehar hai jis meiN kisii aamir, kisii sultaan kaa sikkaa nahiiN chalta! agar chashm-e-tamaashaa meiN zaraa sii bhii milaavaT ho yeh aaina nahiiN chaltaa! yeh aisii aag hai jis meiN badan sholoN meiN jalte haiN, to ruuheN muskuraatii haiN yeh voh sailaab hai jis ko diloN kii bastiiyaaN aavaaz de kar Khud bulaatii haiN yeh jab chaahe kisii bhii Khwaab ko taabiir mil jaaye jo manzar bhuj chuke haiN, un ko bhii tanviir mil jaaye dua, jo be_Thikaanaa thii, use taasiir mil jaaye kisii raste meiN rastaa puuChtii taqdiir mil jaaye muhabbat rok saktii hai samay ke tez dhaare ko! kisii jalte sharaare ko, fanaa ke istiyaare ko! muhabbat rok saktii hai kisii girte sitaare ko! yeh chaknaa chuur aaine ke reze joR saktii hai jidhar chaahe yeh baageN mausmoN kii moR saktii hai! koii zaNjiir ho, us ko muhabbat toR saktii hai!!!!

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng