tum nahii.n Gam nahii.n sharaab nahii.n

tum nahii.n Gam nahii.n sharaab nahii.n 
aisii tanhaaii kaa javaab nahii.n 

gahe gahe ise pa.Daa kiije 
dil se bahatar koii kitaab nahii.n 

jaane kis kis kii maut aaii hai 
aaj ruKh pe koii naqaab nahii.n 

vo karam u.ngaliyo.n pe gi.nte hai.n 
zulm kaa jinake kuchh hisaab nahii.n