Skip to main content

dhuaa.N uThaa thaa divaane ke jalate ghar se saarii raat

dhuaa.N uThaa thaa divaane ke jalate ghar se saarii raat 
lekin vo Khaamosh rahaa duniyaa ke Dar se saarii raat 

raat yuu.N jalate dil par terii yaado.n kii barasaat hu_ii 
jaise ik pyaase kii chitaa par barkhaa barase saarii raat 

saarii raat to sapane dekhe subah ko ye mahasuus huaa 
ham ne apanaa sar Takaraayaa ik patthar se saarii raat 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.