Skip to main content

aise to ko_ii jii ko banaataa nahii.n patthar

aise to ko_ii jii ko banaataa nahii.n patthar
bevajah to kabhii haath me.n aataa nahii.n patthar

Darataa hai apanaa hii ghar zad me.n na aaye
ek shaKhs andhere me.n chalaataa nahii.n patthar

kuchh shiishaa_badan logo.n me.n tajviiz yahii thii
diivaanaa tere shahar me.n khaataa nahii.n patthar

ye baat mere dil ko lagii sab se bhalii baat
diivaanaa divaane pe uThaataa nahii.n patthar

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.