kare dariyaa na pul mismaar mere
abhii kuchh log hai.n us paar mere
[mismaar =destroy]
bahut din guzare ab dekh aa_uu.N ghar ko
kahe.nge kyaa dar-o-diivaar mere
vahii.n suuraj kii nazare.n thii.n ziyaadaa
jahaa.N the pe.D saayaadaar mere
vahii ye shahar hai to shahar vaalo
kahaa.N hai kuuchaa-o-baazaar mere
tum apanaa haal-e-mahajuurii sunaao
mujhe to khaa gaye aazaar mere
[haal-e-mahajuurii=state of separation; aazaar=illness/woes]
jinhe.n samajhaa thaa jaan_paravar mai.n ab tak
vo sab nikale kafan bar_daar mere
[jaan=life; paravar=protector/nourisher]
[kafan-bardaar=shroud bearer]
guzarate jaa rahe hai.n din havaa se
rahe.n zindaa salamaat yaar mere
dabaa jis se usii patthar me.n Dhal kar
bike chehare sar-e-baazaar mere
[sar-e-baazaar=in public]
dariichaa kyaa khulaa merii Gazal kaa
havaaye.n le u.Dii ashaar mere
[dariichaa=window; ashaar=plural of sher (couplet)]