Skip to main content

ik intazaar saa thaa ab nazar me.n vo bhii nahii.n


ik intazaar saa thaa ab nazar me.n vo bhii nahii.n
safar me.n marane kii fursat thii ghar me.n vo bhii nahii.n

zaraa malaal kii zulmat ko Taalane ke liye
ka_ii Khayaal the ab to asar me.n vo bhii nahii.n

[malaal = sorrow/anguish; zulmat = darkness; asar = effect]

jo sang-o-Khaar the merii hii gardisho.n tak the
mai.n rah-guzar me.n nahii.n rah-guzar me.n vo bhii nahii.n

[sang = stone; Khaar = thorn]

the chashm-e-baam nagar me.n ajab tuluu ke rang
vo ik nishaat-e-sahar thaa sahar me.n vo bhii nahii.n

[tuluu = dawn; nishaat-e-subah = happiness of dawn]

rahe na kuchh bhii magar ye kaif kyaa kam hai
jis aagahii kii kamii thii hunar me.n vo bhii nahii.n

[kaif = intoxication; aagahii = forewarning; hunar = skill]


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.