ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut


ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut 
in dino.n Khud se bichha.D jaane kaa dha.Dakaa hai bahut 


raat ho din ho Gafalat ho ki bedaarii ho 
usako dekhaa to nahii.n hai use sochaa hai bahut 


tashnagii ke bhii muqaamaat hai.n kyaa kyaa yaanii 
kabhii dariyaa nahii.n kaafii, kabhii qataraa hai bahut 


mere haatho.n kii lakiiro.n ke izaafe hai.n gavaah 
mai.n ne patthar kii tarah Khud ko taraashaa hai bahut 


koii aayaa hai zaruur aur yahaa.N Thaharaa bhii hai 
ghar kii dahaliiz paa-e-nuur ujaalaa hai bahut