Skip to main content

bas ek vaqt kaa Kha.Njar merii talaash me.n hai

bas ek vaqt kaa Kha.Njar merii talaash me.n hai
jo roz bhes badal kar meri talaash me.n hai 

mai.n kataraa huu.N meraa alag vajuud to hai 
huaa kare jo sama.ndar merii talaash me.n hai 

mai.n devataa kii tarah qaid apane ma.ndir me.n 
vo mere jism ke baahar merii talaash me.n hai 

mai.n jisake haath me.n ik phuul deke aayaa thaa 
usii ke haath kaa patthar merii talaash me.n hai 

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng