Skip to main content

dil hai aa_iinaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat

dil hai aa_iinaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauraa.N me.n hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat

[hairat = wonder/amazement; Gam-e-dauraa.N = sorrows of life]
[aks-e-Gam-e-yaar = reflection of sorrow of separation]


aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai
diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat

[aatish = fire; diidanii = worth seeing; ravish = behaviour; mauj = wave]


aaj kii raat kaa mahamaa.N hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar me.n ugate hai.n sharar aaj kii raat

[mahamaa.N = guest; malabuus = garments; hariir = silk]
[chaman-zaar = garden; sharar = sparks of fire]


mai.n ne farahad kii aaGosh me.n shirii.n dekhii
mai.n ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat

[aaGosh = embrace/bosom; sar-e-daar = at the gallows]


jo chaman sarf-e-Khizaa.N hai.n vo bulaate hai.n mujhe
mujhe fursat nahii.n ai jaan-e-bahaar aaj kii raat

[sarf-e-Khizaa.N = in autumn's grasp; fursat = leisure time]


dar-e-yazadaa.N pe bhii jhukatii nahii.n is vaqt jabii.n
mujh se aa.Nkhe.n na la.Daa ??? aaj kii raat

[yazadaa.N = adjective for God (God of piety); jabii.n = forehead]


mashaal-e-sher kaa laayaa huu.N cha.Dhaavaa "Abid"
jagamagaate.n hai.n shahiido.n ke mazaar aaj kii raat

[cha.Dhaavaa = offering; shahiid = martyr; mazaar = tomb/mausoleum]

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.