Ye maana zindagi hai chaar din ki
bahut hote haiN yaaroN chaar din bhi
Author : Firaq Gorakhpuri
Ummed-e-marg kab tak, zindagi ka dard-e-sar kab tak
ye mana sabra karte haiN mohabbat meiN magar kab tak
Author : Firaq Gorakhpuri
Kash ussi din meri zindagi ki shaam ho jaye
Jiss din tera wujood kisi aur ke naam ho jaye
Author : Wakas Mir
Ek ek pal zindagi ka jis ko de daala, Naseem
Ho gaya hai kyon na jaane is qadar woh badgumaan
Author : Malika Naseem
Mujh ko bahut azeez hai Shehnaz aaj bhi
Yeh meri zindagi jo musalsal saza bhi hai
Author : Shehnaz Kanpuri
yeh kaisee bicharnay ki saza hai
aainay mein chehra rakh gaya hai
khursheed misaal shakhas kal shaam
maatti kay subarad kar diya hai
tum mar gai hoosla tumhara
zinda hoon yeh mera hosla hai
Author : Obaidullah Aleem
do zamanoon mein musalsal hai humari zindagi
aik zamaa khawab ka hai dosra tabeer ka
Author : Obaidullah Aleem
Kuch to hai baat jo aati hai kaza ruk ruk ke
Zindagi Karz hai kiston me ada hoti hai�
Author : Qamar Jalalabadi
زندگی مانگے ہے وفا مجھ سے
میرا تو پوچھ نہ پتہ مجھ سے
چین آتا نہیں کسی صورت
درد دل مانگے ¬
Author : Feroz Iqbal
Har nafas umar-e-guzishta ki hai mayyiat, Fani,
Zindagi naam hai, mar-mar ke jiye jaane ka.
Author : Fani Badayuni
Ik muamma hai samajhne ka, na samjhaane ka,
Zindagi kaahe ko hai, khwab hai deewaane ka.
Author : Fani Badayuni
Zindagi tu-ne mujhe qabr-se kum dee hai zamee'n,
Paao'n phailaau'n toh deewaar-mei'n sar lagta hai.
Author : Bashir Badr
minnatein hain khyaal ki tere
khoob guzri tere khyaal ke sath
maine ek zindagi basar kar dee
tere naa-deeda khatt-o-khaal ke saaath
Author : Jaun Elia
Zah-re gham eik din pilaa ke mujhe,
Aap rukhsat hu-ei rulaa ke mujhe,
Zindagee tubhi to nahi-n maujood,
Kia milaa tujh ko aazmaa-n ke mujhe.
Author : Aslam Rahi
Zindagi Sirf Tere Nam Se Mansoob Rahe,
Jane Kitne Hi Dimagho'n Ne Ye Socha Hoga.
Author : Abbas Daana
Jite rahane ki saza de zindagi ai zindagi,
Ab tu marane ki dua de zindagi ai zindagi ,
Mai'n tu ab uqta gaya hun kya yahi hai qayanat,
Bas ye aina hata de zindagi ai zindagi .
Author : Zaka Siddiqui
Zindagi tujh se mil kar zamana hua,
A tujhe aaj ham maikade le chale'n,
Rat ke nam honTho'n ke saghar likhe'n,
Apani ankho'n mei'n kuchh rat-jage le chale'n
Author : Zubair Rizvi
tabahi ka apni nishan chor aye
warq dar warq dastan chor aye
har ek ajnabi se pata pochte hain
tujhe zindgi hum kahan chor aye
Author : Kaif Azeemabadi
Ishq-e-la mahdood jab tak rahnuma hota nahi�n,
Zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin.
Author : Jigar Muradabadi
Zindagi ik haadisa hai, aur aisa haadisa,
Maut se bhi khatam jiska silsila hota nahin.
Author : Jigar Muradabadi
Duniya ka fikar, maut ka dar, aabroo ka dhayaan,
Do din ki zindagi mire haq mein bala hui.
Author : Shad Azeemabadi
Bahut haseen sahi suhbaten gulon ki magar
Woh zindagi hai jo kaanton ke darmiaan guzre.
Author : Jigar Muradabadi
Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum,
Thukra na dein jahaan ko kahin be-dili se hum.
Author : Sahir
Is daur mein zindagi bashar ki,
Beemaar ki raat ho gai hai.
Author : Firaq Gorakhpuri
Urta hai shauq-e-raahat-e-rnanzil se asp-e-umr,
Mahmeez kisko kahte hain aur taaziaana kya.
Author : Aatish
Justjoo hai zindagi, zauq-e-talab hai zindagi,
Zindagi ka raaz lekin doori-e-manzil main hai.
Author : Asgher Gondvi
Din zindagi ke khatam hue, shaam ho gai,
Phaila ke paaon soenge, kunj-e-mazaar mein.
Author : Bahadur Shah Zafar
Zindagi beshak tera inaam hai, yaarab, magar,
Sun sake tau kuchh tere inaam ki baaten karen.
Author : Hari Chand Akhter
Tu yeh mat kah main tujhe kahta tha apni zindagi,
In dinon jeene se bhi ji mera bezaar hai.
Author : Mirza Ghalib
Safar zaroor hai, aur uzar ki majaal nahin,
Maza tau yeh hai na manzil, na raasta maaloom.
Author : Shad Azeemabadi
Suni hikaait-e-hasti tau darmiaan se suni,
Na ibteda ki khabar hai, na inteha maaloom.
Author : Shad Azeemabadi
Hasti par ek dam ki tumhen josh is qadar,
Is bahr-e-muj khez mein tum tau habaab ho.
Author : Mir Taqi Mir
Hasti apni habaab ki si hai,
Yeh numaaish suraab ki si hai.
Author : Mir Taqi Mir
Maujen kare hai ab tau bahr-e-jahaan mein tu,
Jaane ga baad-e-rnarg ke aalam habaab tha.
Author : Mir Taqi Mir
Zindagi kya hai? anaasir mein zahoor-e-tarteeb,
Maut kya hai? inhi ijza ka pareeshaan hona.
Author : Chakbast
Zindagi hai ya koi toofaan hai,
Hum tau is jeene ke haathon mar rahe.
Author : Dard Dehlvi
Mar ke toota hai kabhi silsala-e-qaid-e-hayaat,
Magar itna hai ke zanjeer badal jaati hai.
Author : Fani
Fikare-ma -aash, ishq -e-butaan, yaad-e-raftgaan,
Do din ki zindagi mein ab koi kya kya kiya kare!
Author : Sauda
Zindagi kya kisi muflish ki qaba ha jismen,
Har ghari dard ke paiwand lage jaate hain.
Author : Faiz Ahmad Faiz
Umr-e-daraaz maang ke laaey the chaar din,
Do aarzoo mein kat gaye, do intezaar mein.
Author : Bahadur Shah Zafar
Zindagi ki aag ka anjaam khaakastar nahin,
Tootnajiska muqaddar ho, yeh woh gohar nahin.
Author : Allama Iqbal
Zindagi kya hai, isko aaj ai dost,
Soch len aur udaas ho jaaen.
Author : Firaq Gorakhpuri
Mukhtesar yeh hai hamaari daastaan-e-zindagi,
Ik sakoon-e-dil ki khaatir umr bhar tarpa kieye.
Author : Unknown
Maujen kare hai ab tau bahr-e-jahaan mein tu,
Jaane ga baad-e-rnarg ke aalam habaab tha.
Author : Mir Taqi Mir
Hasti ba-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin,
Phir kis lieye yeh fikar-e-qaraar-o-sabaat hai.
Author : Firaq Gorakhpuri
Zindagi yoon bhi guzar hi jaati,
Kyon tera rahguzar yaad aaya.
Author : Mirza Ghalib
Tu ise paimaana-e-imrooz-o-farda se na naap,
Jaawedaan, paiham rawaan, har dam jawaan hai zindagi.
Author : Allama Iqbal
Jaan di, di hui usi ki thi,
Haq tau yeh hai, ke haq ada na hua.
Author : Mirza Ghalib
Jab nazar uski aan parti hai,
Zindagi tab dhayaan parti hai
Author : Sauda
Zindagi insaan ki hai maanind-e.murgh-e-khush nawa,
Shaakh par baitha koi dam, chahchahaaya, ur gaya.