Skip to main content

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha,

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha,
mohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori tha.

Zaroori tha ki hum dono tawaaf-e aarzoo karte,
magar phir aarzuon ka bikharna bhi zaroori tha.

Wahi hain sooraten apni wahi main hun, wahi tum ho
magar khoya hua hun main, magar tum bhi kahin gum ho.

Mohabbat mein daghaa ki thi so kaafir the, so kaafir hain
mili hain manzilen phir bhi musaafir the, musaafir hain.

Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatke, kahaan pahunche
magar bhatke toh yaad aaya, bhatakna bhi zaroori tha. !!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng