Skip to main content

Meri nazar ke saleeqe mein kya nahin aata,

Meri nazar ke saleeqe mein kya nahin aata,
bas ek teri hi taraf dekhna nahin aata.

Akele chalna toh mera naseeb tha ki mujhe, 
kisi ke saath safar baantna nahin aata.

Udhar toh jaate hain raaste tamaam hone ko,
idhar se ho ke koi raasta nahin aata.

Jagaana aata hai uss ko kayi tareeqon se,
gharon pe dastaken dene khuda nahin aata.

Yahan pe tum hi nahin aas paas aur bhi hain, 
par uss tarah se tumhe sochna nahin aata.

Pade raho yun hi sahme hue diyon ki tarah,
agar hawaaon ke par baandhna nahin aata. !!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.