Main jaanta hun ki ab chhaton par,

Main jaanta hun ki ab chhaton par,
Diye jalaane ki rasm baaqi nahin rahi hai..
Magar tumhein meri yaad aaye ,
Toh yaad rakho..
Tum apni aankhon se
Aansuon ke chamakte moti na girne dena,
Bas itna karna,
Ki apni chhat par..
Meri mohabbat ki nazm gaa kar ,
Meri rafaaqat ko yaad kar ke,
Diya jalaana..
Tum apni chhat par kisi bhi kone mein baith kar,
Ek diya jalaana …!