Skip to main content

Kis qadar zulm dhaya karte ho,

Kis qadar zulm dhaya karte ho,
ye jo tum bhool jaya karte ho.

Kis ka ab haath rakh ke seene pe,
dil ki dhadkan sunaya karte ho.

Hum jahan chaai peene jaate the,
kya wahan ab bhi aaya karte ho.

Kaun hai ab ki jis ke chehre pe,
apni palkon ka saaya karte ho.

Kyon mere dil mein rakh nahin dete,
kis liye ghum uthaya karte ho.

Phone par geet jo sunaate the,
ab woh geet kis ko sunaaya karte ho.

Aakhiri khat mein uss ne likha tha,
tum mujhe yaad aaya karte ho. !!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.