Skip to main content

MiT gayaa jab miTne vaalaa phir salaam aayaa to kyaa ,

MiT gayaa jab miTne vaalaa phir salaam aayaa to kyaa ,
dil kii barbaadii ke baad un kaa payaam aayaa to kyaa,

chhuT ga_ii.n nabze.n ummide.n dene vaalii hai.n javaab ,
ab udhar se naamaabar leke payaam aayaa to kyaa,
[naamaabar=messenger]

aaj hii miTnaa thaa ai dil hasrat-e-diidaar me.n ,
tuu merii naakaamiyo.n ke baad kaam aayaa to kyaa,
[hasarat-e-diidaar=desire to see]

kaash apnii zindagii me.n ham ye ma.nzar dekhte ,
ab sar-e-turbat ko_ii mahshar-Khiraam aayaa to kyaa,
[turbat=tomb; mahshar=day of judgement; Khiraam=walk]

saa.Ns ukharhii aas TuuTii chhaa gayaa jab rang-e-yaas ,
naamaabar laayaa to kyaa Khat mere naam aayaa to kyaa,

mil gayaa vo Khaak me.n jis dil me.n thaa armaan-e-diid ,
ab ko_ii Khurshiid-vash baalaa-e-baam aayaa to kyaa.
[Khurshiid-vash=sun-like face]

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.