Skip to main content

Talwar le rahe the hemayat me phool ki


تلوار لے رہے تھے حمایت میں پھول کی
پت جھڑ کے مورچوں میں عجب ہم نے بھول کی

اپنے لہو سے شام کو سیراب کر دیا
دن بھر کے انتظار کی قیمت وصول کی

بکھرا ہے اس طرح سے ہر اک ذرّۂ وجود
صورت نہیں ہے کوئی بھی اپنے حصول کی

ہمدردیوں کو تیر سے زخمی نہ کر مزید
ہم نے تو خود چُنی تھیں یہ راہیں ببول کی

خوشبو کی طرح ہم ہیں خرابی میں دہر کی
یہ شاخِ گل پلی تھی فضائوں میں دھول کی

Talwar le rahe the hemayat me phool ki
patjhar ke morcho'n mei'n ajab hamne bhool ki

apne lahoo se hamne shaam ko serab kar diya
din bhar ke intezaar ki qeemat wasool ki

bikhra hai is tarah se har ik zarrae wajood
soorat nahii hai koi bhi apne hasool ki

hamdardiyo'n ke teer se zakhmi naa kar mazeed
hamne to khud chunii thee yeh rahe' n babool ki

khushboo ki tarah ham hain kharabi mei'n dahar kii

yeh shakhe gul palii thee fazao'n mei'n dhool ki 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.