Khatm shab-e-qissaa-e-muKhtasir na hu_ii
shamaa gul ho ga_ii sahar na hu_ii
ro_ii shabanam jalaa jo ghar meraa
phuul ke kam ha.Nsii magar na hu_ii
hashr me.n bhii vo kyaa mile.nge mujhe
jab mulaaqaat umr bhar na hu_ii
aa_iinaa dekh kar ye kiijiye shukr
aap ko aap kii nazar na hu_ii
sab the mahafil me.n un kii mahv-e-jamaal
ek ko ek kii Khabar na hu_ii
sai.Nka.Do.n raat ke kiye vaade
un kii raat aaj tak "Qamar" na hu_ii
shamaa gul ho ga_ii sahar na hu_ii
ro_ii shabanam jalaa jo ghar meraa
phuul ke kam ha.Nsii magar na hu_ii
hashr me.n bhii vo kyaa mile.nge mujhe
jab mulaaqaat umr bhar na hu_ii
aa_iinaa dekh kar ye kiijiye shukr
aap ko aap kii nazar na hu_ii
sab the mahafil me.n un kii mahv-e-jamaal
ek ko ek kii Khabar na hu_ii
sai.Nka.Do.n raat ke kiye vaade
un kii raat aaj tak "Qamar" na hu_ii