Skip to main content

Junuun-e-shauq ab bhii kam nahii.n hai

Junuun-e-shauq ab bhii kam nahii.n hai 
magar vo aaj bhii barham nahii.n hai 

bahut mushkil hai duniyaa kaa sa.Nvaranaa 
terii zulfo.n ke pech-o-Kham nahii.n hai 

bahut kuchh aur bhii hai jahaa.N me.n 
ye duniyaa mahaz Gam hii Gam nahii.n hai 

merii barbaadiyo.n ke ham_nashino.n 
tumhe.n kyaa Khud mujhe bhii Gam nahii.n hai 

abhii bazm-e-tarab se kyaa uThuu.N mai.n 
abhii to aa.Nkh bhii pur_nam nahii.n hai 

'Majaz' ek baadaakash to hai yaqiinan 
jo ham sunate the vo aalam nahii.n hai 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.