Ghazal numa
Jahaan kam hai zamien kam hai besate aasmaan kam hai,
Mohite do jahaan kam hai.
Tumhara qissae gham sun ke ye kahna parha ham ko,
Hamari dastaan kam hai.
Ye lagta hai bahut pahle yahaan se qaafla guzra ,
Ghubare kaarwan kam hai.
Khabar hai garam ke suraj nikal kar aane wala hai,
Falak par kahkashaan kam hai.
Mahaze jang par hargiz na koi Qadar yeh samjhe,
Hamara bezubaan kam hai.