MaiN kisi kuu E aziyyat se nahi aaya hooN

MaiN kisi kuu E aziyyat se nahi aaya hooN
NarGha E sang E malaamat se nahi aaya hooN


Apni pahchaan banaayi hai to aaya hooN yahaaN
MaiN kisi baab E riyaayat se nahi aaya hooN


Apni aaNkhoN meN chupaale K tera aks hooN maiN
Kisi aayinaa E zulmat se nahi aaya hooN


MaiN bhi ek khaak ka putlaa huN tere hi jaisa
Kisi dozakh, kisi jannat se nahi aaya hooN


Teri shiriN sukhani khiiNch ke laayi hai mujhe
Yaar maiN apni zaroorat se nahi aaya hooN


Itni begaangi achhi nahi  Tariq saahab
MaiN kisi shahr E adaavat se nahi aaya hooN