humare dam se hai jo kuch yahaan hai

humare dam se hai jo kuch yahaan hai
yeh dunya warna ik khali makaan hai

nazar kahti hai mere pas ho tum
magar parda sa kyun yeh darmiyan hai

gehar lagta hai zara jo zameen per
tera hi nash-e-paa woh meri jaan hai

gawahi kyun koi de ga humari
yahaan such bolna kar-e-zeyan hai

sadaqat ki hamayet ka natija
hamesha sar hai aur nook-e-sana hai

samjhty ho jesay tum raaz-e-pinhan
mere adrak per woh bhi aayan hai

main saya jiss haqeqat ka hoon saifi
khuda jane haqeeqat woh kahaan hai