tere kochay mein dil jo haar aaya

tere kochay mein dil jo haar aaya
dil figaar aaya ,beqarar aaya

phir kahaan is bhanwar se nikla dil
jab tere ishq ka madaar aaya

bekhudi mein bekhud ko pehchana
hosh essa dam khumaar aaya

woh zamanae to kab ke khawab hoye
jab woh kahty thay tumne pyar aaya

main kahon jaan hai nisar tere
woh kahay mujh ko atebaar aaya

mousam aaye kai pe mousam-e-hijar
jab bhi aaya so be shumaar aaya

ishq ka yeh hunar bhi kya kaam hai
dekh to gham pe kya nikhar aaya

nakh-e-jaan per dukhon ke phool bohat
per samar eik dard yaad aaya

bekali,beqarari,bechani
dil ko yeh khub sazgaar aaya

iss pe reham-o-karam  ki chai gata
jo tere dar pe sharaam sar aaya