MaiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa,

MaiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa,
ab iske baad meraa imtihaan kyaa legaa

ye ek melaa hai, vaadaa kisii se kyaa legaa,
dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa

maiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa,
koii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa

kalejaa chaahiye dushman se dushmanii ke liye,
jo be-amal vo badlaa kisii se kyaa legaa

hazaar toR ke aa jaauuN us se rishtaa Waseem,
maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa.