humdam na kaho mujh se jo dekh kar aaye ho

humdam na kaho mujh se jo dekh kar aaye ho
hai mere tasawer mein tasveer jo rahnay do

her simt baharin hein rangein nazaray hein 
bahti hui nadya hai is ko yun hi  bahnay do

batein bhi jahaan bhar ki hoti hein nigahoon mein
accha ya bura jo bhi kahty hein kahnay do

jo tum ne bhi dekha hai,woh eik haqiqat hai
jo meri nazar mein hai iss ko bhi to rahnay do

woh bhul gya humko aur bhul gya sab kuch 
tum raaz bana lo aur raaz hi rahnay do

main aaj bhi chahoon eik hansta hua chera
kuch kaan mein kahta hai ,kahta usay kahnay do

gar khawab hai yeh sab kuch tab khawab hi accha hai
iss khawab se zinda hoon,zinda mujhe rahnay do

yeh sach hai woh pathar hai,yeh toor na de sab kuch
si lo mere lab phir bhi aur apni si kahnay do

main janta hoon kab se jo tum ne hai ab samjha
main dhoke mein rahta hoon,tum dhoke mein rahnay do

qasid jo bhi kahta hai sab jhoot hi kahta hai
behlata to hai dil ko isay jhoot hi rahnay do

seemab jo bikhra hai tum kaise sameto gay
yeh band hai shishay mein isay band hi rahnay do