Ahl-e-sukhan ko chaahiey khud aagahi ki baat


Ahl-e-sukhan ko chaahiey khud aagahi ki baat
Muzmar khud aagahi maiN hai shaaistagi ki baat

Waadi maiN dil ki karta ujaala hai husn-e-yaar
Aie chaaNd keoN karooN maiN tiri chaaNdni ki baat

As'haab-o-Ahl-e-Bait kaa karnaa hai ehtiraam
Yaani Nabi ke baad hai Aal-e-Nabi ki baat (Q)

FirauniyoN ko aal bataaye Kalaam-e-Haq
Pairo jo haiN Rasool ke,yeh hai sabhi ki baat

Maqsad sukhanwari ka faqat dil ka hai gudaaz
Ahl-e-sukhan to karte naheeN baihisi ki baat

Taali to aik haath sey bajti naheeN kabhi
Gar yaar matlabi ho to keya dosti ki baat !

Khushbu sukhan ki laaya hai Tanwir Phool aaj
"Ham raushni mizaaj karaiN raushni ki baat"