Main Andheri Raat Ka Musafir Karoon Roshni Ka Intezaar Kya??



Main Andheri Raat Ka Musafir Karoon Roshni Ka Intezaar Kya??
Tay Ker Loon Musafatain Raat Main Sulaghtay Din Ka Etabar Kya??

Mujhay Rastay Main Nafratain Mili Or Kuch Phool Bewafai K..
Main Kia Janoo Kia Hai Muhabat Kia Samjhoon Hai Yeh Pyar Kya??

Main Tanhaiyon Main Zinda Hoon Main Per Katta Parinda Hoon..
Koi Aa K Mujhay Bata Jaey Hota Hai Wisaal-E-Yaar Kyaa??

Koh-E-Toor Per To Pohanch Gaey Sang Le Ker Kuch Ahl-E-Nazar..
Jis Nazar Ko Taab-E-Deedaar Nahi Woh Nazar Keray Deedar Kya??
Yeh Rog Ishq Ka Rog Hai Yeh Saaz Nahi Yeh Soz Hai…
Is Rog Ki Koi Dawa Nahi Phir Dawa Keray Beemaar Kya??

Us Ne Jaan Meri Maang Li Sadqay Main Apnay Pyaar K…
Yeh Dum To Usi Humdum Ka Tha Phir Kerta Main Inkaar Kya??

Main Thak Ker Baitha Tha Faysal Ik Shajar Ki Ghanni Chaon Main..
Jis Ne Tan Man Mera Jala Diya Woh Shajar Tha Sayadaar Kya?