Ik paikar-e-jamal mein uljha hua hon main,


Ik paikar-e-jamal mein uljha hua hon main,
Uljhe huey khayal mein uljha hua hon main,

Tu ne kaha tha chaand hai bilkul meri tarah,
Ab tak ussi misaal mein uljha hua hon main,

Us ne kaha k ehd-e-guzishta ko bhi sambhal,
Main ne kaha k haal mein uljha hua hon main,

Fursat mili to hogi mulaqat aap se,
Filhaal to malaal mein uljha hua hon main,

Nikla nahi hon sham ki surkhi mein doob kr,
lahu k jaal mein uljha hua hon main. *