Ab shiddat-e-gham main massnuyi araam sahara deta hai


Ab shiddat-e-gham main massnuyi araam sahara deta hai
Ya dost tasalli dete hain ya jaam sahara deta hai

Aye dost mohabbat ke sadmey tanha hi uthaaney parte hain
Rehbar to is rastey mein dogaaam sahara dete hain

Woh naam hain sirf is dunya mein ik saaqi ka ik yazdaan ka
Ik naam pareshaan karta hai ik naam sahara deta hai

Tufaan ki chatoon* to dekho saahil ki koi umeed bhi hai
Malaah* ki surat to dekho nakaam sahara deta hai

Hum ko bhi Adam kuch qayel kar kya lutf is badmasti main
Kyaa aag sakoon pohanchati hai kya jaam sahara deta hai