talwaar mere sar pe laTaktii hai sahar kii


talwaar mere sar pe laTaktii hai sahar kii
shab hooN, mujhe chaahat hai sitaaroN kii, qamar kii

Gham kyaa hai idhar taaza hawaa aaye na aaye
khiRhakii to khulii rahtii hai hardam mere ghar kii

kaun utraa thaa aaNgan meN mere chaaNdanii ban kar
ai chashm-e-talab, toone bhii mujhko na Khabar kii

kyaa merii tarah tujhko bhii banvaas milaa hai ?
pardesii, ko_ii baat bataa apne nagar kii

jab naav mirii Doob rahii thii sar-e-dariyaa
phailii nazar aa_ii mujhe aaGhosh baNvar kii

mumkin hai ki maNzil pe pahuNch paaye na raahii
gir jaayegii ik roz yah diivaar-e-safar bhii

chhalke mirii aaNkhoN se ka_ii guzare zamaane
''Aarif'' sar-e-aa'inaa jo hasrat se nazar kii