ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.N rahane diyaa


ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.N rahane diyaa 
jaan kar ham ne unhe.n naameharabaa.N rahane diyaa 


kitanii diivaaro.n ke saaye haath phailaate rahe 
ishq ne lekin hame.n beKhvaanamaa.N rahane diyaa 


apane apane hausale apanii talab kii baat hai 
chun liyaa hamne unhe.n saaraa jahaa.N rahane diyaa 


ye bhii kyaa jiine me.n jiinaa hai baGair un ke "Adeeb" 
shama gul kar dii ga_ii baaqii dhuaa.N rahane diyaa