Gham-e-tum hai hamen kyunkar


Gham-e-tum hai hamen kyunkar
Gawara hum bhi sunte hain

Siwa apne kahan koi
Sahara hum bhi Sunte hain

Tere aashiq hazaron hain
Chalo hum maan lete hain

Magar hum sa kahan tera
Kinara hum bhi sunte hain

Muqaddar ke ujalon mein
Zara iss ore bhi aao

Hamen kitne sitaron ne
Pukara hum bhi sunte hain

Tere andaz ke pekar
Hazaron hain zamane mein


Badan hai bus unhen tum se
Khudara hum bhi sunte hain


Kabhi Sagar ki mehfil mein
Suno aakar aey chara'gar


Ghazal kya khoob kehta hai
Bechara hum bhi sunte hain!