Marne ki dua kyun mangoon jeene ki tamana kaun kare

Marne ki dua kyun mangoon jeene ki tamana kaun kare
 yeh dunya ho ya woh dunya ab khwahish e dunya kaun kare

 jab kashti sabit o saalim thi saahil ki tamana kis ko thi
 ab aisi shikasta kishti par saahil ki tamana kaun kare

 jo aag thi tum ne us ko tu bhujaya apne ashkon se
 jo ashkoon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare

 dunya ne humain choda jazbi, hum chod na dain kyun dunya ko
 dunya ko samajh kar baithe hain ab dunya dunya kaun kare