Haar gouhar key piro leytey hain!

Haar gouhar key piro leytey hain!
 Ham bhi hanstey huye ro leytey hain!!

Zulm sahtey hain, taaki jee paayen;
Saleeb saath hai: dhho leytey hain!!

Ishq apnaa hai: ashk hain apney:
 Apnaa daaman hai: bhigo leytey hain!

Un key aaney ki, go, umeed naheen?
 Jagah hai dil mein, sanjo leytey hain!

Khwaab mein wasl kee umeed liye,
 Jaagtey-jaagtey so leytey hain!

Arsh sar par hai; karam hai uskaa!
 Fasl apnee waheen bo leytey hain!!

Zameen ho to paa rakheyn ham bhi!
 Wo to unkee hai ki jo leytey hain!!

Bulbuleyn bag mein chahakteen hain:
 Ham, 'abd', roo-b-roo ho leytey hain!