duusrii baatoN meN hamko ho gayaa ghaaTaa bohat

duusrii baatoN meN hamko ho gayaa ghaaTaa bohat
varnaa fikr-e-shaoor ko do waqt ka aaTaa bohat

aarzuu ka shor bapaa hijr kii raatoN meN thaa
wasl kii shab to huaa jaataa hai sannaaTaa bohat

dil kii baateN duusroN se mat kaho, kaT jaaoge
aajkal izhaar ke dhandhe meN hai ghaaTaa bohat

kaaynaat aur zaat meN kuchh chal rahii hai aajkal
jab se andar shor hai baahar hai sanaaTaa bohat

maut kii aazaadiyaaN bhii aisii kuchh dilkash na thiiN
phir bhii hamne zindagii kii qaid ko kaaTaa bohat