Zindagi is kadar hamko rulati rahi

Zindagi is kadar hamko rulati rahi
 Har khushi paas aane se pehle door jaati rahi
 Gham se naata hai shayad apna pichhle janam se
 Tabhi to har khushi gham mein badal jaati rahi


Chaha jo kuch bhi hamne na mila hamko
 Ek adhoori si chahat ban ke reh gaya sab kuch
 Ki koshish kabhi hamne jeetne ki kuch bhi to
 Hamari hi kismat aa kar hamein harati rahi


Lad bhi lete ham mukadar se gar koi apna hota
 Aur badal bhi dete ham shayad apni taqdeer ko
 Par bhagte rahe jis manzil ko paane ki khaatir
 Woh manzil bhi hamse door jaati rahi


Aisa nahi ke koi nahi tha hamara yahan
 Har rishta hai banaya aur apnaya hamne
 Aur har rishte ki khaatir khud ko bhi hai mitaya hamne
 Par shayad kachchi reh jaati thi gaanth har rishte ki
 Jo thoda sa kheenchne pe hi khul jaati rahi


Bahut roye hai ham hasne ke baad har waqt
 Aur behte bhi rahe hai yeh bewafa aansu in aankhon se
 Par ek yeh hansi shayad wafadar hai apni
 Jo hans hans ke har gham ko chhupaati rahi