Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mairey Shaaney Pey Sar Udaasi Ka


Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikheir Gaya
Terey Gulaab SayChehrey Pey Zar Udaasi Ka


Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka


Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Mairi Har Udaasi Ka


Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mairey Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka


Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Mera Dost, Mera Humsafar Udaasi Ka


.˜Faraz Deeda-e-Puraab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !