juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho useykhona bhi parhta hai



khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jiseykehdoon k mera hai usey hona bhi parhta hai



abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khizan aaye tau phir rona bhi parhta hai



mujhey neendain naheen bhateen k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai



hamesha hansta rehta hoon chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai