phuulo.n kii Tahaniyo.n pe nasheman banaayiye

phuulo.n kii Tahaniyo.n pe nasheman banaayiye
 bijalii gire to jashn-e-charaaGaa.N manaayiye

kaliyo.n ke ang ang me.n miThaa saa dard hai
 biimaar nikahato.n ko zaraa gud_gudaayiye

kab se sulag rahii hai javaanii kii garm raat
 zulfe.n bikher kar mere pahaluu me.n aayiye

bahakii hu_ii siyaah ghaTaao.n ke saath saath
 jii chaahataa hai shaam-e-abad tak to jaayiye

sun kar jise havaas me.n ThanDak sii aa base
 aisii ko_ii udaas kahaanii sunaayiye

raste pe har qadam pe Kharaabaat hai.n “Adam”
 ye haal ho to kis tarah daaman bachaayiye