Chup na rehtay, bayaan ho jaatay

Chup na rehtay, bayaan ho jaatay
 tujh se gar bad-ghumaan ho jaatay

Zabt e gham ne bacha liya warna
 ham koi daastaan ho jaatay

tu nay daikha nahee'n palat k hamain
 warna ham meherbaan ho jaatay

terey qissay mai ham bhala khudd say
 kiss liye bad-ghumaan ho jaatay

terey dil ki zameen hee na mili.......
 warna ham aasmaan ho jaatay