jis makaa.n ke saamne guzra wahaa.n zakhmi hua

jis makaa.n ke saamne guzra wahaa.n zakhmi hua
maalumaat-e-zindagi ke waaste ye bhi hua

pairahan ko taar kar haasil na kucchh ilmi hua
sirf tanhai mili kucchh faaydaa ye bhi hua

dil ke tukade is tarah se kooche kooche par gire
dhoondhane ka dard honaa chaak pe bhaari hua

dar rahe the raaz-e-giriya khul na jaaye khalq pe
raaz dil mein hi rahaa charchaa magar phir bhi hua

bekhayaali mei.n na jaane ek pal kya keh diya
log kehte hai.n ki wo insaan tha vahshi hua