Skip to main content

Woh Mujh Ko Mil Gaya Main Ussey Khojta Raha

Woh Mujh Ko Mil Gaya Main Ussey Khojta Raha
Uss Mein Hi Ussi Shaks Ko Dhoondta Raha

Dasht-E-Dil Mein Yaadon Ki Baarishein Honey Say
Banjar Zameen Say Bhi Sabza Phoot-ta Raha

Aawaazon Ka Ik Hujoom Aas Paas Tha Magar
Sannata Mairey Wajood Mein Sada Bolta Raha

Woh To Bicharr Ke Duniya Ki Bheerr Mein Gum Ho Gaya
Aur Ye Main Hoon Ke Umer Bhar Ussey Sochta Raha

Gar Mil Gaya Kabhi Woh To Poochoon Ga Ye Sawal
Kyun Mohabbat Ikk Bharam Hai Jo Sada Toot-ta Raha

Dil Mein Basaya Tha Jissey Mainey Woh Dilruba
Ban Ke Rahzan Qadam Qadam Mujhi Ko Loot-ta Raha….!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.