Skip to main content

Woh jo roothien toh yun manaana chahiye



Woh jo roothien toh yun manaana chahiye
Zindagi se rooth jaana chahiye


Himmat-e-qaatil baddhaana chahiye
Zair-e-khanjar muskuraana chahiye


Zindagi hai naam jaddo-jehed ka
Maut kya hai? Bhool jaana chahiye


Hai inhein dhookon se dil ki zindagi
Jo haseen dhoka ho khaana chahiye


Lazzatein hain dushman-e-auj-e-kamaal
Kulfaton se jee lagaana chahiye


Un se milne ko kya kahiye jigar
Khud se milne ko zamaana chahiye.



 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.