Dil ko sukoon, rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ke dost ka paigham aa gaya.
jab koi zikar gardish-e-ayyaam aa gaya
be-iqtiyaar lab pe tera naam aa gaya.
ghum mein bhi suroor, woh hungaam aa gaya
shayad ke daur baada-e-gulfaam aa gaya.
deewaangi ho, aql ho, umeed ho ke yaas
apna wohi hai waqt pe jo kaam aa gaya.
dil ke maamlaat mein naaseh! shikast kya
sau baar husn per bhi yeh ilzaam aa gaya.
saiyyad shaadmaan hai magar yeh toh soch le
main aa gaya ke saaya teh daam aa gaya.
dil ko naa pooch maureka-e-husn-o-ishq mein
kya jaaniye ghareeb kahaan kaam aa gaya.
yeh kya muqaam-e-ishq hai ke zaalim ke in dinon
aksar tere baghair bhi aaraam aa gaya.
ahbaab mujhse qata-e-taalukh karein jigar
ab aaftaab-e-zeest labb-e-baam aa gaya.