Skip to main content

Waqt rukhsat kahi tary, kahi jugno ay



Waqt rukhsat kahi tary, kahi jugno ay
haar pehnany mujhe phol se bazo ay


Bas gy hy mery ehsas may ye kesi mehak
koi khosbo may lagaon teri khusbo ay


May ny din raat khuda sy ye dua mandi hy
koi ahat na ho mery dar pay or to ay


Os ki baten ke gul-o-lala pay shabnam barsy
sab ko apnany ka es shokh ko jado ay


en dino ap ka alam bhi ajab alam hy
shokh khaya howa jesy joi hawa ay


Os ny choo kar muje phattar sy insan kia
muddaton bad meri aknho mein anso ay

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng