Skip to main content

Tumhen kisne kaha pagli

Tumhen kisne kaha pagli
Mujhy tum yad aati ho
Bohat khush faham ho tum b
Tumharai khush gumani he
Meri ankhon ki surkhi me
…Tumhari yad ka matlab?
Mere shab bhar k jagnay me
Tmharay khwaab ka matlab?
Ye ankhien to hameesha se hi
Meri surkh rehti hen
Tumhin malom hi hoga
Is shahar ki faza kitni aloda he
Tu yah sozish,ussi fiza k bayes he
Tumhain kisne kaha pagli
K me shab bhar nah sota
Mujhy is nokri k sab jhamelon se
Kabhi fursat milay to tab hai na
Meri baaton main larzash hai???
Main aksar kho sa jata hon??
Tumhain kis nay kaha pagli
Mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain
Fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,
Aisay aur bhi gham hain
Aur tum
Un sab ghamon kay baad aati ho
Tumhin kis nay kaha pagali
Mujhy tum yaad aati ho
Ye dunya walay pagal hain
Zara si baat ko yah to afsaana samjhtay hain
Mujhy ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain
Tumhain kis nay kaha pagli!!!
Magar shayed!!!!!!!
Magar shayed main jhhota hon
Main reeza reeza ,toota hon

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng