Seeney may jalan aankhon may toofaan sa kyun hai

Seeney may jalan aankhon may toofaan sa kyun hai
Is shehr may her shaqs pareshaan sa kyun hai.

Dil hai toh dhadakne ka bahana koi dhoondey
Pathar ki tarha behis-o-bejaan sa kyun hai

Tanhayi ki yeh kaunsi manzil hai rafeeqon?
Tahad nazar ek bayabaan sa kyun hai

Hum ne toh koi baat nikaali nahi ghum ki
Woh zod pashemaan, pashemaan sa kyun hai

Kya koi nayi baat aayi hai nazar hum may
Aayeena hamein dekh ke hairaan sa kyun hai.