Skip to main content

jab bhi mila qafa mila humko

jab bhi mila qafa mila humko
Waqt kya chand sa mila humko

Ghair toh reham dil nahi hote
Yaar bhi kaj ada mila humko

Chand rangeen tohmaton ke siwa
Teri chahat may kya mila humko

Hum ne yeh raah chod di thi magar
Tera darbaan aa mila humko

Chaara saazon ka koi jurm nahi
Dard hi la dawa mila humko

Saltanat mill gayi  a’dam jis shabb
Ghar may ek boriya mila humko.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.