Skip to main content

merii daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye

merii daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye
mere aazamaane vaale mujhe aazamaa ke roye

[daastaan-e-hasarat=tale of desire]

ko_ii aisaa ahal-e-dil ho ke fasaanaa-e-muhabbat
mai.n use sunaa ke rouu.N vo mujhe sunaa ke roye

[ahal-e-dil=resident of the heart; fasaanaa=tale]

merii aarazuu kii duniyaa dil-e-naatavaa.N kii hasarat
jise kho ke shaadamaa.N the use aaj paa ke roye

[naatavaa.N=weak; shaadamaa.N=happy]

terii bevafaa_iyo.n par terii kaj_adaa_iyo.n par
kabhii sar jhukaa ke roye kabhii muu.Nh chhupaa ke roye

[bevafaa_ii=infidelity; kaj-adaa_ii=crudity/lack of gentility]

jo sunaa_ii anjuman me.n shab-e-Gam kii aap_biitii
ka_ii ro ke muskuraaye ka_ii muskuraa ke roye

[anjuman=gathering; aap-biitii=first hand experience]

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.